Hazar Rahein mud ke dekhen

Hazar Rahein mud ke dekhen
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

Jahan se tum mod mud gaye the
Ye mod ab hi wahin pade hain
Hum apne pairon mein jaane kitne
Bhanwar lapete hue khade hain

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

*

Kahin kisi roz yun bhi hota
Hamari haalat tumhari hoti
Jo raat humein guzari marr ke
Vo raat tumne guzari hoti

Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

*

Tumhe ye zid thi ke hum bulate
Humein ye ummid vo pukarein
Hai naam hoton pe ab bhi lekin
Aawaz mein pad gayi dararein

Hazar rahein mud ke dekhim
Kahin se koi sada na aayi
Badi wafa se nibhayi tumne
Hamari thodi si bewafai

 

No comments:

Post a Comment

Floral wealth of Mahanadi River